Bore hora hai
Raat ke 2 baje, neend gayab, dimaag offline, aur kal subah Mumbai bhi jana hai. Matlab, mere andar ka insomnia aur procrastination dono ek saath milke mere trip ka satyanash karne pe tule hain.
Ab bas yeh batao, koi aur bhi hai jo is waqt existential crisis ya random bakchodi mode mein hai? Ya sirf main hi hu jo raat ke andhere mein "kyun hoon main yahan?" wali feeling le raha hoon?